Rahm Kar Zalim Ki Kya Bud-e-charagh-e-kushta Hai

rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

nabz-e-bimar-e-wafa dud-e-charagh-e-kushta hai

dil-lagi ki aarzu bechain rakhti hai hamein

warna yan be-raunaqi sud-e-charagh-e-kushta hai

nashsha-e-mai be-chaman dud-e-charagh-e-kushta hai

jam dagh-e-shola-andud-e-charagh-e-kushta hai

dagh-e-rabt-e-ham hain ahl-e-bagh gar gul ho shahid

lala chashm-e-hasrat-alud-e-charagh-e-kushta hai

shor hai kis bazm ki arz-e-jarahat-KHana ka

subh yak-bazm-e-namak sud-e-charagh-e-kushta hai

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahm Kar Zalim Ki Kya Bud-e-charagh-e-kushta Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Rahm Kar Zalim Ki Kya Bud-e-charagh-e-kushta Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Rahm Kar Zalim Ki Kya Bud-e-charagh-e-kushta Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Rahm Kar Zalim Ki Kya Bud-e-charagh-e-kushta Hai in PDF.