Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai
raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai
is sal ke hisab ko barq aaftab hai
mina-e-mai hai sarw nashat-e-bahaar se
baal-e-tadrraw jalwa-e-mauj-e-sharab hai
zaKHmi hua hai pashna pa-e-sabaat ka
ne bhagne ki gun na iqamat ki tab hai
jadad-e-baada-noshi-e-rindan hai shash-jihat
ghafil guman kare hai ki giti KHarab hai
nazzara kya harif ho us barq-e-husn ka
josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqab hai
main na-murad dil ki tasalli ko kya karun
mana ki tere ruKH se nigah kaamyab hai
guzra 'asad' masarrat-e-paigham-e-yar se
qasid pe mujh ko rashk-e-sawal-o-jawab hai
zahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki gharaz
jo dana dam mein hai so ashk-e-kabab hai
be-chashm-e-dil na kar hawas-e-sair-e-lala-zar
yani ye har waraq waraq-e-intiKHab hai
(1456) Peoples Rate This