Qatra-e-mai Bas-ki Hairat Se Nafas-parwar Hua
qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parwar hua
KHatt-e-jam-e-mai sarasar rishta-e-gauhar hua
e'tibar-e-ishq ki KHana-KHarabi dekhna
ghair ne ki aah lekin wo KHafa mujh par hua
garmi-e-daulat hui aatish-zan-e-nam-e-niko
KHana-e-KHatim mein yaqut-e-nagin aKHtar hua
nashsha mein gum-karda-rah aaya wo mast-e-fitna-KHu
aaj rang-rafta daur-e-gardish-e-saghar hua
dard se dar-parda di mizhgan-siyahan ne shikast
reza reza ustuKHan ka post mein nashtar hua
zohd gardidan hai gard-e-KHana-ha-e-muniman
dana-e-tasbih se main mohra-dar-shashdar hua
ai ba-zabt-e-haal-e-na-afsurdagan josh-e-junun
nashsha-e-mai hai agar yak-parda nazuk-tar hua
is chaman mein resha-dari jis ne sar khencha 'asad'
tar zaban-e-lutf-e-am-e-saqi-e-kausar hua
(1192) Peoples Rate This