Qafas Mein Hun Gar Achchha Bhi Na Jaanen Mere Shewan Ko
qafas mein hun gar achchha bhi na jaanen mere shewan ko
mera hona bura kya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko
nahin gar hamdami aasan na ho ye rashk kya kam hai
na di hoti KHudaya aarzuwe-e-dost dushman ko
na nikla aankh se teri ek aansu us jarahat par
kiya sine mein jis ne KHun-chakan mizhgan-e-sozan ko
KHuda sharmae hathon ko ki rakhte hain kashakash mein
kabhi mere gareban ko kabhi jaanan ke daman ko
abhi hum qatl-gah ka dekhna aasan samajhte hain
nahin dekha shanawar ju-e-KHun mein tere tausan ko
hua charcha jo mere panw ki zanjir banne ka
kiya betab kan mein jumbish-e-jauhar ne aahan ko
KHushi kya khet par mere agar sau bar abr aawe
samajhta hun ki DhunDe hai abhi se barq KHirman ko
wafa-dari ba-shart-e-ustuwari asl iman hai
mare but-KHane mein to kabe mein gaDo barahman ko
shahadat thi meri qismat mein jo di thi ye KHu mujh ko
jahan talwar ko dekha jhuka deta tha gardan ko
na luTta din ko to kab raat ko yun be-KHabar sota
raha khaTka na chori ka dua deta hun rahzan ko
suKHan kya kah nahin sakte ki juya hun jawahir ke
jigar kya hum nahin rakhte ki khoden ja ke madan ko
mere shah-e-sulaiman-jah se nisbat nahin 'ghaalib'
faridun o jam o keKHusrau o darab o bahman ko
(1189) Peoples Rate This