Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tishna-e-fariyaad aaya
dam liya tha na qayamat ne hanuz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya
sadgi-ha-e-tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
uzr-e-wamandagi ai hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyun tera rahguzar yaad aaya
kya hi rizwan se laDai hogi
ghar tera KHuld mein gar yaad aaya
aah wo jurat-e-fariyaad kahan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya
phir tere kuche ko jata hai KHayal
dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
koi virani si virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
main ne majnun pe laDakpan mein 'asad'
sang uThaya tha ki sar yaad aaya
(1508) Peoples Rate This