Pae-nazr-e-karam Tohfa Hai Sharm-e-na-rasai Ka
pae-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na-rasai ka
ba-KHun-ghaltida-e-sad-rang dawa parsai ka
na ho husn-e-tamasha-dost ruswa bewafai ka
ba-mohr-e-sad-nazar sabit hai dawa parsai ka
zakat-e-husn de ai jalwa-e-binish ki mehr-asa
charagh-e-KHana-e-darwesh ho kasa gadai ka
na mara jaan kar be-jurm ghafil teri gardan par
raha manind-e-KHun-e-be-gunah haq aashnai ka
tamanna-e-zaban mahw-e-sipas-e-be-zabani hai
miTa jis se taqaza shikwa-e-be-dast-o-pai ka
wahi ek baat hai jo yan nafas wan nikhat-e-gul hai
chaman ka jalwa bais hai meri rangin-nawai ka
dahan-e-har-but-e-paighaara-ju zanjir-e-ruswai
adam tak bewafa charcha hai teri bewafai ka
na de nale ko itna tul 'ghaalib' muKHtasar likh de
ki hasrat-sanj hun arz-e-sitam-ha-e-judai ka
jahan miT jae sai-e-did KHizrabaad-e-asaish
ba-jeb-e-har-nigah pinhan hai hasil rahnumai ka
ba-ijz-abaad wahm-e-muddaa tasli-e-shoKHi hai
taghaful ko na kar masruf-e-tamkin-azmai ka
'asad' ka qissa tulani hai lekin muKHtasar ye hai
ki hasrat-kash raha arz-e-sitam-ha-e-judai ka
hawas gustaKHi-e-aina taklif-e-nazar-bazi
ba-jeb-e-arzu pinhan hai hasil dilrubai ka
nazar-bazi tilism-e-wahshat-abaad-e-paristan hai
raha begana-e-tasir afsun aashnai ka
na paya dardmand-e-duri-e-yaran-e-yak-dil ne
sawad-e-KHatt-e-peshani se nusKHa momyai ka
'asad' ye ijz-o-be-samani-e-firaun-e-tawam hai
jise tu bandagi kahta hai dawa hai KHudai ka
(1660) Peoples Rate This