Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane
nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane
kya bane baat jahan baat batae na bane
main bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jae kuchh aisi ki bin aae na bane
khel samjha hai kahin chhoD na de bhul na jae
kash yun bhi ho ki bin mere satae na bane
ghair phirta hai liye yun tere KHat ko ki agar
koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane
us nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
hath aawen to unhen hath lagae na bane
kah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai
parda chhoDa hai wo us ne ki uThae na bane
maut ki rah na dekhun ki bin aae na rahe
tum ko chahun ki na aao to bulae na bane
bojh wo sar se gira hai ki uThae na uThe
kaam wo aan paDa hai ki banae na bane
ishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghaalib'
ki lagae na lage aur bujhae na bane
(1794) Peoples Rate This