Nawed-e-amn Hai Bedad-e-dost Jaan Ke Liye
nawed-e-amn hai bedad-e-dost jaan ke liye
rahi na tarz-e-sitam koi aasman ke liye
bala se gar mizha-e-yar tishna-e-KHun hai
rakhun kuchh apni bhi mizhgan-e-KHun fishan ke liye
wo zinda hum hain ki hain ru-shanas-e-KHalq ai KHizr
na tum ki chor bane umr-e-jawedan ke liye
raha bala mein bhi main mubtala-e-afat-e-rashk
bala-e-jaan hai ada teri ek jahan ke liye
falak na dur rakh us se mujhe ki main hi nahin
daraaz-dasti-e-qatil ke imtihan ke liye
misal ye meri koshish ki hai ki murgh-e-asir
kare qafas mein faraham KHas aashiyan ke liye
gada samajh ke wo chup tha meri jo shamat aai
uTha aur uTh ke qadam main ne pasban ke liye
ba-qadr-e-shauq nahin zarf-e-tangna-e-ghazal
kuchh aur chahiye wusat mere bayan ke liye
diya hai KHalq ko bhi ta use nazar na lage
bana hai aish tajammul husain KHan ke liye
zaban pe bar-e-KHudaya ye kis ka nam aaya
ki mere nutq ne bose meri zaban ke liye
nasir-e-daulat-o-din aur muin-e-millat-o-mulk
bana hai charKH-e-barin jis ke aastan ke liye
zamana ahd mein us ke hai mahw-e-araish
banenge aur sitare ab aasman ke liye
waraq tamam hua aur madh baqi hai
safina chahiye is bahr-e-be-karan ke liye
ada-e-KHas se 'ghaalib' hua hai nukta-sara
sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye
(2493) Peoples Rate This