Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka
naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka
kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka
kaw kaw-e-saKHt-jaani hae-tanhai na puchh
subh karna sham ka lana hai ju-e-shir ka
jazba-e-be-iKHtiyar-e-shauq dekha chahiye
sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
muddaa anqa hai apne aalam-e-taqrir ka
bas-ki hun 'ghaalib' asiri mein bhi aatish zer-e-pa
mu-e-atish dida hai halqa meri zanjir ka
aatishin-pa hun gudaz-e-wahshat-e-zindan na puchh
mu-e-atish dida hai har halqa yan zanjir ka
shoKHi-e-nairang said-e-wahshat-e-taus hai
dam-e-sabza mein hai parwaz-e-chaman tasKHir ka
lazzat-e-ijad-e-naz afsun-e-arz-e-zauq-e-qatl
nal aatish mein hai tegh-e-yar se naKHchir ka
KHisht pusht-e-dast-e-ijz o qalib aaghosh-e-widaa
pur hua hai sail se paimana kis tamir ka
wahshat-e-KHwab-e-adam shor-e-tamasha hai 'asad'
jo maza jauhar nahin aaina-e-tabir ka
(1627) Peoples Rate This