Nafas Na Anjuman-e-arzu Se Bahar Khinch
nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch
agar sharab nahin intizar-e-saghar khinch
kamal-e-garmi-e-sai-e-talash-e-did na puchh
ba-rang-e-KHar mere aaine se jauhar khinch
tujhe bahana-e-rahat hai intizar ai dil
kiya hai kis ne ishaara ki naz-e-bistar khinch
teri taraf hai ba-hasrat nazara-e-nargis
ba-kori-e-dil-o-chashm-e-raqib saghar khinch
ba-nim-ghamza ada kar haq-e-wadiat-e-naz
niyam-e-parda-e-zaKHm-e-jigar se KHanjar khinch
mere qadah mein hai sahba-e-atish-e-pinhan
ba-ru-e-sufra kabab-e-dil-e-samandar khinch
na kah ki taqat-e-ruswai-e-visal nahin
agar yahi araq-e-fitna hai mukarrar khinch
junun-e-aina mushtaq-e-yak-tamasha hai
hamare safhe pe baal-e-pari se mistar khinch
KHumar-e-minnat-e-saqi agar yahi hai 'asad'
Dil-e-gudaKHta ke mai-kade mein saghar khinch
(1140) Peoples Rate This