Na Hui Gar Mere Marne Se Tasalli Na Sahi
na hui gar mere marne se tasalli na sahi
imtihan aur bhi baqi ho to ye bhi na sahi
KHar KHar-e-alam-e-hasrat-e-didar to hai
shauq gul-chin-e-gulistan-e-tasalli na sahi
mai-parastan KHum-e-mai munh se lagae hi bane
ek din gar na hua bazm mein saqi na sahi
nafas-e-qais ki hai chashm-o-charagh-e-sahra
gar nahin sham-e-siyah-KHana-e-laili na sahi
ek hangame pe mauquf hai ghar ki raunaq
nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shadi na sahi
na sataish ki tamanna na sile ki parwa
gar nahin hain mere ashaar mein mani na sahi
ishrat-e-sohbat-e-KHuban hi ghanimat samjho
na hui 'ghaalib' agar umr-e-tabii na sahi
(1647) Peoples Rate This