Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera
na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera
habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera
mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai
ki mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera
rah-e-KHwabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-agahi
zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera
suragh-awara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar hun
par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera
hawa-e-subh yak-alam gareban chaaki-e-gul hai
dahan-e-zaKHm paida kar agar khata hai gham mera
na ho wahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-satr-e-agahi
main gard-e-rah hun be-muddaa hai pech-o-KHam mera
'asad' wahshat-parast-e-gosha-e-tanhai-e-dil hai
ba-rang-e-mauj-e-mai KHamyaza-e-saghar hai ram mera
(1561) Peoples Rate This