Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai
muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai
dam-e-KHali qafas-e-murgh-e-giraftar ke pas
jigar-e-tishna-e-azar tasalli na hua
ju-e-KHun hum ne bahai bun-e-har KHar ke pas
mund gain kholte hi kholte aankhen hai hai
KHub waqt aae tum is aashiq-e-bimar ke pas
main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle
dashna ek tez sa hota mere gham-KHwar ke pas
dahan-e-sher mein ja baiThe lekin ai dil
na khaDe ho jiye KHuban-e-dil-azar ke pas
dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai
KHud-ba-KHud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas
mar gaya phoD ke sar 'ghaalib'-e-wahshi hai hai
baiThna us ka wo aa kar teri diwar ke pas
(1164) Peoples Rate This