Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue
muddat hui hai yar ko mehman kiye hue
josh-e-qadah se bazm charaghan kiye hue
karta hun jama phir jigar-e-laKHt-laKHt ko
arsa hua hai dawat-e-mizhgan kiye hue
phir waz-e-ehtiyat se rukne laga hai dam
barson hue hain chaak gareban kiye hue
phir garm-nala-ha-e-sharar-bar hai nafas
muddat hui hai sair-e-charaghan kiye hue
phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq
saman-e-sad-hazar namak-dan kiye hue
phir bhar raha hun KHama-e-mizhgan ba-KHun-e-dil
saz-e-chaman taraazi-e-daman kiye hue
baham-digar hue hain dil o dida phir raqib
nazzara o KHayal ka saman kiye hue
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jae hai
pindar ka sanam-kada viran kiye hue
phir shauq kar raha hai KHaridar ki talab
arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jaan kiye hue
dauDe hai phir har ek gul-o-lala par KHayal
sad-gulistan nigah ka saman kiye hue
phir chahta hun nama-e-dildar kholna
jaan nazr-e-dil-farebi-e-unwan kiye hue
mange hai phir kisi ko lab-e-baam par hawas
zulf-e-siyah ruKH pe pareshan kiye hue
chahe hai phir kisi ko muqabil mein aarzu
surme se tez dashna-e-mizhgan kiye hue
ek nau-bahaar-e-naz ko take hai phir nigah
chehra farogh-e-mai se gulistan kiye hue
phir ji mein hai ki dar pe kisi ke paDe rahen
sar zer-bar-e-minnat-e-darban kiye hue
ji DhunDta hai phir wahi fursat ki raat din
baiThe rahen tasawwur-e-jaanan kiye hue
'ghaalib' hamein na chheD ki phir josh-e-ashk se
baiThe hain hum tahayya-e-tufan kiye hue
(10899) Peoples Rate This