Meri Hasti Faza-e-hairat Aabaad-e-tamanna Hai
meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai
jise kahte hain nala wo usi aalam ka anqa hai
KHizan kya fasl-e-gul kahte hain kis ko koi mausam ho
wahi hum hain qafas hai aur matam baal-o-par ka hai
wafa-e-dilbaran hai ittifaqi warna ai hamdam
asar fariyaad-e-dil-ha-e-hazin ka kis ne dekha hai
na lai shoKHi-e-andesha tab-e-ranj-e-naumidi
kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdid-e-tamanna hai
na sowe aablon mein gar sirishk-e-dida-e-nam se
ba-jaulan-gah-e-naumidi nigah-e-ajizan pa hai
ba-saKHti-ha-e-qaid-e-zindagi malum aazadi
sharar bhi said-e-dam-e-rishta-e-rag-ha-e-KHara hai
taghaful-mashrabi se na-tamami bas-ki paida hai
nigah-e-naz chashm-e-yar mein zunnar-e-mina hai
tasarruf wahshiyon mein hai tasawwur-ha-e-majnun ka
sawad-e-chashm-e-ahu aks-e-KHal-e-ru-e-laila hai
mohabbat tarz-e-paiwand-e-nihaal-e-dosti jaane
dawidan resha san muft-e-rag-e-KHwab-e-zuleKHa hai
kiya yak-sar gudaz-e-dil niyaz-e-joshish-e-hasrat
suwaida nusKHa-e-tah-bandi-e-dagh-e-tamanna hai
hujum-e-rezish-e-KHun ke sabab rang uD nahin sakta
hina-e-panja-e-saiyyaad murgh-e-rishta bar-pa hai
asar soz-e-mohabbat ka qayamat be-muhaba hai
ki rag se sang mein tuKHm-e-sharar ka resha paida hai
nihan hai gauhar-e-maqsud jeb-e-KHud-shanasi mein
ki yan ghawwas hai timsal aur aaina dariya hai
azizo zikr-e-wasl-e-ghair se mujh ko na bahlao
ki yan afsun-e-KHwab afsana-e-KHwab-e-zulaiKHa hai
tasawwur bahr-e-taskin-e-tapidan-ha-e-tifl-e-dil
ba-bagh-e-rang-ha-e-rafta gul-chin-e-tamasha hai
ba-sai-e-ghair hai qat-e-libas-e-KHana-virani
ki naz-e-jada-e-rah rishta-e-daman-e-sahra hai
(1489) Peoples Rate This