Maze Jahan Ke Apni Nazar Mein KHak Nahin
maze jahan ke apni nazar mein KHak nahin
siwae KHun-e-jigar so jigar mein KHak nahin
magar ghubar hue par hawa uDa le jae
wagarna tab o tawan baal-o-par mein KHak nahin
ye kis bahisht-shamail ki aamad aamad hai
ki ghair-e-jalwa-e-gul rahguzar mein KHak nahin
bhala use na sahi kuchh mujhi ko rahm aata
asar mere nafas-e-be-asar mein KHak nahin
KHayal-e-jalwa-e-gul se KHarab hain mai-kash
sharab-KHane ke diwar-o-dar mein KHak nahin
hua hun ishq ki ghaarat-gari se sharminda
siwae hasrat-e-tamir ghar mein KHak nahin
hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'asad'
khula ki faeda arz-e-hunar mein KHak nahin
(1788) Peoples Rate This