Mat Mardumak-e-dida Mein Samjho Ye Nigahen
mat mardumak-e-dida mein samjho ye nigahen
hain jama suwaida-e-dil-e-chashm mein aahen
kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgan-e-KHud-ara
aaine ke payab se utri hain sipahen
dair-o-haram aaina-e-takrar-e-tamanna
wamandagi-e-shauq tarashe hai panahen
jun mardumak-e-chashm se hon jama nigahen
KHwabida ba-hairat-kada-e-dagh hain aahen
phir halqa-e-kakul mein paDin did ki rahen
jun dud faraham huin rauzan mein nigahen
paya sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-wahshat
hain dagh se mamur shaqaiq ki kulahen
ye matla 'asad' jauhar-e-afsun-e-suKHan ho
gar arz-e-tapak-e-jigar-e-soKHta chahen
hairat-kash-e-yak-jalwa-e-mani hain nigahen
khinchun hun suwaida-e-dil-e-chashm se aahen
(3166) Peoples Rate This