Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki
manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki
qismat khuli tere qad o ruKH se zuhur ki
ek KHun-chakan kafan mein karoDon banao hain
paDti hai aankh tere shahidon pe hur ki
waiz na tum piyo na kisi ko pila sako
kya baat hai tumhaari sharab-e-tuhur ki
laDta hai mujh se hashr mein qatil ki kyun uTha
goya abhi suni nahin aawaz sur ki
aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj
uDti si ek KHabar hai zabani tuyur ki
go wan nahin pe wan ke nikale hue to hain
kabe se in buton ko bhi nisbat hai dur ki
kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawab
aao na hum bhi sair karen koh-e-tur ki
garmi sahi kalam mein lekin na is qadar
ki jis se baat us ne shikayat zarur ki
'ghaalib' gar is safar mein mujhe sath le chalen
haj ka sawab nazr karunga huzur ki
(1250) Peoples Rate This