Larazta Hai Mera Dil Zahmat-e-mehr-e-daraKHshan Par
larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-daraKHshan par
main hun wo qatra-e-shabnam ki ho KHar-e-bayaban par
na chhoDi hazrat-e-yusuf ne yan bhi KHana-arai
safedi dida-e-yaqub ki phirti hai zindan par
fana talim-e-dars-e-be-KHudi hun us zamane se
ki majnun lam alif likhta tha diwar-e-dabistan par
faraghat kis qadar rahti mujhe tashwish-e-marham se
baham gar sulh karte para-ha-e-dil namak-dan par
nahin iqlim-e-ulfat mein koi tumar-e-naz aisa
ki pusht-e-chashm se jis ki na howe mohr unwan par
mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-aluda yaad aaya
ki furqat mein teri aatish barasti thi gulistan par
ba-juz parwaz-e-shauq-e-naz kya baqi raha hoga
qayamat ek hawa-e-tund hai KHak-e-shahidan par
na laD naseh se 'ghaalib' kya hua gar us ne shiddat ki
hamara bhi to aaKHir zor chalta hai gareban par
dil-e-KHunin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni
ilahi yak qayamat KHawar aa TuTe badaKHshan par
'asad' ai be-tahammul arbada be-ja hai naseh se
ki aaKHir be-kason ka zor chalta hai gareban par
(1201) Peoples Rate This