Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar
kyun jal gaya na tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
jalta hun apni taqat-e-didar dekh kar
aatish-parast kahte hain ahl-e-jahan mujhe
sargarm-e-nala-ha-e-sharar-bar dekh kar
kya aabru-e-ishq jahan aam ho jafa
rukta hun tum ko be-sabab aazar dekh kar
aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
marta hun us ke hath mein talwar dekh kar
sabit hua hai gardan-e-mina pe KHun-e-KHalq
larze hai mauj-e-mai teri raftar dekh kar
wa-hasrata ki yar ne khincha sitam se hath
hum ko haris-e-lazzat-e-azar dekh kar
bik jate hain hum aap mata-e-suKHan ke sath
lekin ayar-e-taba-e-KHaridar dekh kar
zunnar bandh subha-e-sad-dana toD Dal
rah-rau chale hai rah ko hamwar dekh kar
in aablon se panw ke ghabra gaya tha main
ji KHush hua hai rah ko pur-KHar dekh kar
kya bad-guman hai mujh se ki aaine mein mere
tuti ka aks samjhe hai zangar dekh kar
girni thi hum pe barq-e-tajalli na tur par
dete hain baada zarf-e-qadah-KHwar dekh kar
sar phoDna wo 'ghaalib'-e-shorida haal ka
yaad aa gaya mujhe teri diwar dekh kar
(3124) Peoples Rate This