Koi Ummid Bar Nahin Aati
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
nind kyun raat bhar nahin aati
aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
jaanta hun sawab-e-taat-o-zohd
par tabiat idhar nahin aati
hai kuchh aisi hi baat jo chup hun
warna kya baat kar nahin aati
kyun na chiKHun ki yaad karte hain
meri aawaz gar nahin aati
dagh-e-dil gar nazar nahin aata
bu bhi ai chaaragar nahin aati
hum wahan hain jahan se hum ko bhi
kuchh hamari KHabar nahin aati
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge 'ghaalib'
sharm tum ko magar nahin aati
(1485) Peoples Rate This