Koi Din Gar Zindagani Aur Hai
koi din gar zindagani aur hai
apne ji mein hum ne Thani aur hai
aatish-e-dozaKH mein ye garmi kahan
soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai
bar-ha dekhi hain un ki ranjishen
par kuchh ab ke sargirani aur hai
de ke KHat munh dekhta hai nama-bar
kuchh to paigham-e-zabani aur hai
qata-e-emar hai aksar nujum
wo bala-e-asmani aur hai
ho chukin 'ghaalib' balaen sab tamam
ek marg-e-na-gahani aur hai
(1624) Peoples Rate This