Kisi Ko De Ke Dil Koi Nawa-sanj-e-fughan Kyun Ho
kisi ko de ke dil koi nawa-sanj-e-fughan kyun ho
na ho jab dil hi sine mein to phir munh mein zaban kyun ho
wo apni KHu na chhoDenge hum apni waza kyun chhoDen
subuk-sar ban ke kya puchhen ki hum se sargiran kyun ho
kiya gham-KHwar ne ruswa lage aag is mohabbat ko
na lawe tab jo gham ki wo mera raaz-dan kyun ho
wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phoDna Thahra
to phir ai sang-dil tera hi sang-e-astan kyun ho
qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na Dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiyan kyun ho
ye kah sakte ho hum dil mein nahin hain par ye batlao
ki jab dil mein tumhin tum ho to aankhon se nihan kyun ho
ghalat hai jazb-e-dil ka shikwa dekho jurm kis ka hai
na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyun ho
ye fitna aadmi ki KHana-virani ko kya kam hai
hue tum dost jis ke dushman us ka aasman kyun ho
yahi hai aazmana to satana kis ko kahte hain
adu ke ho liye jab tum to mera imtihan kyun ho
kaha tum ne ki kyun ho ghair ke milne mein ruswai
baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki han kyun ho
nikala chahta hai kaam kya tanon se tu 'ghaalib'
tere be-mehr kahne se wo tujh par mehrban kyun ho
(4317) Peoples Rate This