Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain
ki wafa hum se to ghair is ko jafa kahte hain
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain
aaj hum apni pareshani-e-KHatir un se
kahne jate to hain par dekhiye kya kahte hain
agle waqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho
jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain
dil mein aa jae hai hoti hai jo fursat ghash se
aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain
hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud
qible ko ahl-e-nazar qibla-numa kahte hain
pa-e-afgar pe jab se tujhe rahm aaya hai
KHar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahte hain
ek sharar dil mein hai us se koi ghabraega kya
aag matlub hai hum ko jo hawa kahte hain
dekhiye lati hai us shoKH ki naKHwat kya rang
us ki har baat pe hum nam-e-KHuda kahte hain
'wahshat' o 'shefta' ab marsiya kahwen shayad
mar gaya 'ghaalib'-e-ashufta-nawa kahte hain
(1593) Peoples Rate This