Kahun Jo Haal To Kahte Ho Muddaa Kahiye
kahun jo haal to kahte ho muddaa kahiye
tumhin kaho ki jo tum yun kaho to kya kahiye
na kahiyo tan se phir tum ki hum sitamgar hain
mujhe to KHu hai ki jo kuchh kaho baja kahiye
wo neshtar sahi par dil mein jab utar jawe
nigah-e-naz ko phir kyun na aashna kahiye
nahin zariya-e-rahat jarahat-e-paikan
wo zaKHm-e-tegh hai jis ko ki dil-kusha kahiye
jo muddai bane us ke na muddai baniye
jo na-saza kahe us ko na na-saza kahiye
kahin haqiqat-e-jaan-kahi-e-maraz likhiye
kahin musibat-e-na-sazi-e-dawa kahiye
kabhi shikayat-e-ranj-e-giran-nashin kije
kabhi hikayat-e-sabr-e-gurez-pa kahiye
rahe na jaan to qatil ko KHun-baha dije
kaTe zaban to KHanjar ko marhaba kahiye
nahin nigar ko ulfat na ho nigar to hai
rawani-e-rawish o masti-e-ada kahiye
nahin bahaar ko fursat na ho bahaar to hai
tarawat-e-chaman o KHubi-e-hawa kahiye
safina jab ki kinare pe aa laga 'ghaalib'
KHuda se kya sitam-o-jaur-e-na-KHuda kahiye
(2624) Peoples Rate This