Kahte Ho Na Denge Hum Dil Agar PaDa Paya
kahte ho na denge hum dil agar paDa paya
dil kahan ki gum kije hum ne muddaa paya
ishq se tabiat ne zist ka maza paya
dard ki dawa pai dard-e-be-dawa paya
dost-dar-e-dushman hai e'timad-e-dil malum
aah be-asar dekhi nala na-rasa paya
sadgi o purkari be-KHudi o hushyari
husn ko taghaful mein jurat-azma paya
ghuncha phir laga khilne aaj hum ne apna dil
KHun kiya hua dekha gum kiya hua paya
haal-e-dil nahin malum lekin is qadar yani
hum ne bar-ha DhunDa tum ne bar-ha paya
shor-e-pand-e-naseh ne zaKHm par namak chhiDka
aap se koi puchhe tum ne kya maza paya
hai kahan tamanna ka dusra qadam ya rab
hum ne dasht-e-imkan ko ek naqsh-e-pa paya
be-dimagh-e-KHajlat hun rashk-e-imtihan ta-kai
ek bekasi tujh ko aalam-ashna paya
KHak-bazi-e-ummid kar-KHana-e-tifli
yas ko do-alam se lab-ba-KHanda wa paya
kyun na wahshat-e-ghaalib baj-KHwah-e-taskin ho
kushta-e-taghaful ko KHasm-e-KHun-baha paya
fikr-e-nala mein goya halqa hun ze-sar-ta-pa
uzw uzw jun zanjir yak-dil-e-sada paya
shab nazara-parwar tha KHwab mein KHayal us ka
subh mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paya
jis qadar jigar KHun ho kucha dadan-e-gul hai
zaKHm-e-tegh-e-qatil ko turfa dil-kusha paya
hai makin ki pa-dari nam-e-sahib-e-KHana
hum se tere kuche ne naqsh-e-muddaa paya
ne 'asad' jafa-sail ne sitam junun-mail
tujh ko jis qadar DhunDa ulfat-azma paya
(2199) Peoples Rate This