Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse
kabhi neki bhi us ke ji mein gar aa jae hai mujh se
jafaen kar ke apni yaad sharma jae hai mujh se
KHudaya jazba-e-dil ki magar tasir ulTi hai
ki jitna khinchta hun aur khinchta jae hai mujh se
wo bad-KHu aur meri dastan-e-ishq tulani
ibarat muKHtasar qasid bhi ghabra jae hai mujh se
udhar wo bad-gumani hai idhar ye na-tawani hai
na puchha jae hai us se na bola jae hai mujh se
sambhalne de mujhe ai na-ummidi kya qayamat hai
ki daman-e-KHayal-e-yar chhuTa jae hai mujh se
takalluf bartaraf nazzargi mein bhi sahi lekin
wo dekha jae kab ye zulm dekha jae hai mujh se
hue hain panw hi pahle nabard-e-ishq mein zaKHmi
na bhaga jae hai mujh se na Thahra jae hai mujh se
qayamat hai ki howe muddai ka ham-safar 'ghaalib'
wo kafir jo KHuda ko bhi na saunpa jae hai mujh se
(1422) Peoples Rate This