Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri
kab wo sunta hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri
KHalish-e-ghamza-e-KHun-rez na puchh
dekh KHunaba-fishani meri
kya bayan kar ke mera roenge yar
magar aashufta-bayani meri
hun za-KHud rafta-e-baida-e-KHayal
bhul jaana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh rawani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
saKHt arzan hai girani meri
gard-baad-e-rah-e-betabi hun
sarsar-e-shauq hai bani meri
dahan us ka jo na malum hua
khul gai hech madani meri
kar diya zof ne aajiz 'ghaalib'
nang-e-piri hai jawani meri
(1730) Peoples Rate This