Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_344bebac570e6e213294e46e8ea1230c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar - Mirza Ghalib Poetry In English - Darsaal

Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar

juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar

sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasud tha

aashuftagi ne naqsh-e-suwaida kiya durust

zahir hua ki dagh ka sarmaya dud tha

tha KHwab mein KHayal ko tujh se muamla

jab aankh khul gai na ziyan tha na sud tha

leta hun maktab-e-gham-e-dil mein sabaq hanuz

lekin yahi ki raft gaya aur bud tha

Dhanpa kafan ne dagh-e-uyub-e-barahnagi

main warna har libas mein nang-e-wajud tha

teshe baghair mar na saka kohkan 'asad'

sargashta-e-KHumar-e-rusum-o-quyud tha

aalam jahan ba-arz-e-bisat-e-wajud tha

jun subh chaak-e-jeb mujhe tar-o-pud tha

bazi-KHur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq

hangama garm-e-hairat-e-bud-o-nabud tha

aalam tilism-e-shahr-e-KHamoshi hai sar-basar

ya main gharib-e-kishwar-e-guft-o-shunud tha

tangi rafiq-e-rah thi adam ya wajud tha

mera safar ba-tala-e-chashm-e-hasud tha

tu yak-jahan qamash-e-hawas jama kar ki main

hairat-mata-e-alam-e-nuqsan-o-sud tha

gardish-muhit-e-zulm raha jis qadar falak

main paemal-e-ghamza-e-chashm-e-kabud tha

puchha tha garche yar ne ahwal-e-dil magar

kis ko dimagh-e-minnat-e-guft-o-shunud tha

KHur shabnam-ashna na hua warna main 'asad'

sar-ta-qadam guzarish-e-zauq-e-sujud tha

(2266) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-ru-e-kar in PDF.