Jis Bazm Mein Tu Naz Se Guftar Mein Aawe
jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe
jaan kalbad-e-surat-e-diwar mein aawe
sae ki tarah sath phiren sarw o sanobar
tu is qad-e-dilkash se jo gulzar mein aawe
tab naz-e-giran maigi-e-ashk baja hai
jab laKHt-e-jigar dida-e-KHun-bar mein aawe
de mujh ko shikayat ki ijazat ki sitamgar
kuchh tujh ko maza bhi mere aazar mein aawe
us chashm-e-fusun-gar ka agar pae ishaara
tuti ki tarah aaina guftar mein aawe
kanTon ki zaban sukh gai pyas se ya rab
ek aabla-pa wadi-e-pur-KHar mein aawe
mar jaun na kyun rashk se jab wo tan-e-nazuk
aaghosh-e-KHam-e-halqa-e-zunnar mein aawe
ghaarat-gari-e-namush na ho gar hawas-e-zar
kyun shahid-e-gul bagh se bazar mein aawe
tab chaak-e-gareban ka maza hai dil-e-nalan
jab ek nafas uljha hua har tar mein aawe
aatish-kada hai sina mera raaz-e-nihan se
ai wae agar mariz-e-izhaar mein aawe
ganjina-e-mani ka tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'ghaalib' mere ashaar mein aawe
(1905) Peoples Rate This