Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya
jaur se baz aae par baz aaen kya
kahte hain hum tujh ko munh dikhlaen kya
raat din gardish mein hain sat aasman
ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya
lag ho to us ko hum samjhen lagao
jab na ho kuchh bhi to dhoka khaen kya
ho liye kyun nama-bar ke sath sath
ya rab apne KHat ko hum pahunchaen kya
mauj-e-KHun sar se guzar hi kyun na jae
aastan-e-yar se uTh jaen kya
umr bhar dekha kiya marne ki rah
mar gae par dekhiye dikhlaen kya
puchhte hain wo ki 'ghaalib' kaun hai
koi batlao ki hum batlaen kya
(1065) Peoples Rate This