Jahan Tera Naqsh-e-qadam Dekhte Hain
jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain
KHayaban KHayaban iram dekhte hain
dil-ashuftagan KHal-e-kunj-e-dahan ke
suwaida mein sair-e-adam dekhte hain
tere sarw-qamat se ek qadd-e-adam
qayamat ke fitne ko kam dekhte hain
tamasha ki ai mahw-e-aina-dari
tujhe kis tamanna se hum dekhte hain
suragh-e-taf-e-nala le dagh-e-dil se
ki shab-rau ka naqsh-e-qadam dekhte hain
bana kar faqiron ka hum bhes 'ghaalib'
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain
kisu ko za-KHud rasta kam dekhte hain
ki aahu ko paband-e-ram dekhte hain
KHat-e-laKHt-e-dil yak-qalam dekhte hain
mizha ko jawahar raqam dekhte hain
(2120) Peoples Rate This