Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa
jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa
charKH wa karta hai mah-e-nau se aaghosh-e-widaa
shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan
shoala-e-awaz-e-KHuban par ba-hangam-e-simaa
jun par-e-taus jauhar taKHta mashq-e-rang hai
bas-ki hai wo qibla-e-aina mahw-e-iKHtiraa
ranjish-e-hairat-sarishtan sina-safi peshkash
jauhar-e-aina hai yan gard-e-maidan-e-nazaa
chaar su-e-dahr mein bazar-e-ghaflat garm hai
aql ke nuqsan se uThta hai KHayal-e-intifaa
aashna 'ghaalib' nahin hain dard-e-dil ke aashna
warna kis ko mere afsane ki tab-e-istimaa
(944) Peoples Rate This