Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha
jab ba-taqrib-e-safar yar ne mahmil bandha
tapish-e-shauq ne har zarre pe ek dil bandha
ahl-e-binash ne ba-hairat-kada-e-shoKHi-e-naz
jauhar-e-aina ko tuti-e-bismil bandha
yas o ummid ne yak-arbada maidan manga
ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sail bandha
na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmun 'ghaalib'
garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
istilahat-e-asiran-e-taghaful mat puchh
jo girah aap na kholi use mushkil bandha
yar ne tishnagi-e-shauq ke mazmun chahe
hum ne dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
tapish-e-aina parwaz-e-tamanna lai
nama-e-shauq ba-haal-e-dil-e-bismil bandha
dida ta-dil hai yak-aina charaghan kis ne
KHalwat-e-naz pe pairaya-e-mahfil bandha
na-umidi ne ba-taqrib-e-mazamin-e-KHumar
kucha-e-mauj ko KHamyaza-e-sahil bandha
mutrib-e-dil ne mere tar-e-nafas se 'ghaalib'
saz par rishta pae naghma-e-'bedil' bandha
(1367) Peoples Rate This