Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana
ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad
tha likha baat ke bante hi juda ho jaana
dil hua kasmakash-e-chaara-e-zehmat mein tamam
miT gaya ghisne mein is uqde ka wa ho jaana
ab jafa se bhi hain mahrum hum allah allah
is qadar dushman-e-arbab-e-wafa ho jaana
zoaf se girya mubaddal ba-dam-e-sard hua
bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana
dil se miTna teri angusht-e-hinai ka KHayal
ho gaya gosht se naKHun ka juda ho jaana
hai mujhe abr-e-bahaari ka baras kar khulna
rote rote gham-e-furqat mein fana ho jaana
gar nahin nikhat-e-gul ko tere kuche ki hawas
kyun hai gard-e-rah-e-jaulan-e-saba ho jaana
baKHshe hai jalwa-e-gul zauq-e-tamasha 'ghaalib'
chashm ko chahiye har rang mein wa ho jaana
ta ki tujh par khule ejaz-e-hawa-e-saiqal
dekh barsat mein sabz aaine ka ho jaana
(2088) Peoples Rate This