Ibn-e-maryam Hua Kare Koi
ibn-e-maryam hua kare koi
mere dukh ki dawa kare koi
shara o aain par madar sahi
aise qatil ka kya kare koi
chaal jaise kaDi kaman ka tir
dil mein aise ke ja kare koi
baat par wan zaban kaTti hai
wo kahen aur suna kare koi
bak raha hun junun mein kya kya kuchh
kuchh na samjhe KHuda kare koi
na suno gar bura kahe koi
na kaho gar bura kare koi
rok lo gar ghalat chale koi
baKHsh do gar KHata kare koi
kaun hai jo nahin hai hajat-mand
kis ki hajat rawa kare koi
kya kiya KHizr ne sikandar se
ab kise rahnuma kare koi
jab tawaqqoa hi uTh gai 'ghaalib'
kyun kisi ka gila kare koi
(1342) Peoples Rate This