Huzur-e-shah Mein Ahl-e-suKHan Ki Aazmaish Hai
huzur-e-shah mein ahl-e-suKHan ki aazmaish hai
chaman mein KHush-nawayan-e-chaman ki aazmaish hai
qad o gesu mein qais o kohkan ki aazmaish hai
jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai
karenge kohkan ke hausle ka imtihan aaKHir
abhi us KHasta ke nerwe tan ki aazmaish hai
nasim-e-misr ko kya pir-e-kanan ki hawa-KHwahi
use yusuf ki bu-e-pairahan ki aazmaish hai
wo aaya bazm mein dekho na kahiyo phir ki ghafil the
shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki aazmaish hai
rahe dil hi mein tir achchha jigar ke par ho behtar
gharaz shust-e-but-e-nawak-fagan ki aazmaish hai
nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande mein girai
wafadari mein shaiKH o barhaman ki aazmaish hai
paDa rah ai dil-e-wabasta betabi se kya hasil
magar phir tab-e-zulf-e-pur-shikan ki aazmaish hai
rag-o-pai mein jab utre zahr-e-gham tab dekhiye kya ho
abhi to talKHi-e-kaam-o-dahan ki aazmaish hai
wo aawenge mere ghar wada kaisa dekhna 'ghaalib'
nae fitnon mein ab charKH-e-kuhan ki aazmaish hai
(2070) Peoples Rate This