Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai
husn-e-mah garche ba-hangam-e-kamal achchha hai
us se mera mah-e-KHurshid-jamal achchha hai
bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigah
ji mein kahte hain ki muft aae to mal achchha hai
aur bazar se le aae agar TuT gaya
saghar-e-jam se mera jam-e-sifal achchha hai
be-talab den to maza us mein siwa milta hai
wo gada jis ko na ho KHu-e-sawal achchha hai
un ke dekhe se jo aa jati hai munh par raunaq
wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz
ek barhaman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
ham-suKHan tesha ne farhad ko shirin se kiya
jis tarah ka ki kisi mein ho kamal achchha hai
qatra dariya mein jo mil jae to dariya ho jae
kaam achchha hai wo jis ka ki maal achchha hai
KHizr-sultan ko rakhe KHaliq-e-akbar sarsabz
shah ke bagh mein ye taza nihaal achchha hai
hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
(2869) Peoples Rate This