Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad
husn ghamze ki kashakash se chhuTa mere baad
bare aaram se hain ahl-e-jafa mere baad
mansab-e-sheftagi ke koi qabil na raha
hui mazuli-e-andaz-o-ada mere baad
shama bujhti hai to us mein se dhuan uThta hai
shoala-e-ishq siyah-posh hua mere baad
KHun hai dil KHak mein ahwal-e-butan par yani
un ke naKHun hue mohataj-e-hina mere baad
dar-KHur-e-arz nahin jauhar-e-bedad ko ja
nigah-e-naz hai surme se KHafa mere baad
hai junun ahl-e-junun ke liye aaghosh-e-widaa
chaak hota hai gareban se juda mere baad
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere baad
gham se marta hun ki itna nahin duniya mein koi
ki kare taziyat-e-mehr-o-wafa mere baad
aae hai bekasi-e-ishq pe rona 'ghaalib'
kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad
thi nigah meri nihan-KHana-e-dil ki naqqab
be-KHatar jite hain arbab-e-riya mere baad
tha main guldasta-e-ahbab ki bandish ki giyah
mutafarriq hue mere rufaqa mere baad
(2063) Peoples Rate This