Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din
hum se khul jao ba-waqt-e-mai-parasti ek din
warna hum chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din
gharra-e-auj-e-bina-e-alam-e-imkan na ho
is bulandi ke nasibon mein hai pasti ek din
qarz ki pite the mai lekin samajhte the ki han
rang lawegi hamari faqa-masti ek din
naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghanimat jaaniye
be-sada ho jaega ye saz-e-hasti ek din
dhaul-dhappa us sarapa-naz ka shewa nahin
hum hi kar baiThe the 'ghaalib' pesh-dasti ek din
(3113) Peoples Rate This