Hum Par Jafa Se Tark-e-wafa Ka Guman Nahin
hum par jafa se tark-e-wafa ka guman nahin
ek chheD hai wagarna murad imtihan nahin
kis munh se shukr kijiye is lutf-e-KHas ka
pursish hai aur pa-e-suKHan darmiyan nahin
hum ko sitam aziz sitamgar ko hum aziz
na-mehrban nahin hai agar mehrban nahin
bosa nahin na dijiye dushnam hi sahi
aaKHir zaban to rakhte ho tum gar dahan nahin
har-chand jaan-gudazi-e-qahr-o-itab hai
har-chand pusht-e-garmi-e-tab-o-tawan nahin
jaan mutrib-e-tarana-e-hal-mim-mazid hai
lab parda-sanj-e-zamzama-e-al-aman nahin
KHanjar se chir sina agar dil na ho do-nim
dil mein chhuri chubho mizha gar KHun-chakan nahin
hai nang-e-sina dil agar aatish-kada na ho
hai aar-e-dil nafas agar aazar-fishan nahin
nuqsan nahin junun mein bala se ho ghar KHarab
sau gaz zamin ke badle bayaban giran nahin
kahte ho kya likha hai teri sarnawisht mein
goya jabin pe sajda-e-but ka nishan nahin
pata hun us se dad kuchh apne kalam ki
ruhul-qudus agarche mera ham-zaban nahin
jaan hai baha-e-bosa wale kyun kahe abhi
'ghaalib' ko jaanta hai ki wo nim-jaan nahin
jis ja ki pa-e-sail-e-bala darmiyan nahin
diwanagan ko wan hawas-e-KHanman nahin
gul ghunchagi mein gharqa-e-dariya-e-rang hai
ai aagahi fareb-e-tamasha kahan nahin
kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubul
barg-e-hina magar mizha-e-KHun-fishan nahin
har rang-e-gardish aaina ijad-e-dard hai
ashk-e-sahab juz ba-wida-e-KHizan nahin
juz ijz kya karun ba-tamanna-e-be-KHudi
taqat harif-e-saKHti-e-KHwab-e-giran nahin
ibrat se puchh dard-e-pareshani-e-nigah
ye gard-e-wahm juz basar-e-imtihan nahin
barq-e-ba-jaan-e-hausla aatish-fagan 'asad'
ai dil-fasurda taqat-e-zabt-e-fughan nahin
(2596) Peoples Rate This