Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai
hujum-e-nala hairat aajiz-e-arz yak-afghan hai
KHamoshi resha-e-sad-nistan se KHas-ba-dandan hai
takalluf-bar-taraf hai jaan-sitan-tar lutf-e-bad-KHuyan
nigah-e-be-hijab-e-naz tegh-e-tez-e-uryan hai
hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shadi
ki subh-e-id mujh ko bad-tar az-chaak-e-gareban hai
dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe
ki us bazar mein saghar mata-e-dast-gardan hai
gham aaghosh-e-bala mein parwarish deta hai aashiq ko
charagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjaan hai
takalluf saz-e-ruswai hai ghafil sharm-e-ranai
dil-e-KHun-gashta dar dast-e-hina-aluda uryan hai
'asad' jamiyat-e-dil dar-kinar-e-be-KHudi KHush-tar
do-alam aagahi saman-e-yak-KHwab-e-pareshan hai
(1258) Peoples Rate This