Hujum-e-gham Se Yan Tak Sar-niguni Mujhko Hasil Hai
hujum-e-gham se yan tak sar-niguni mujh ko hasil hai
ki tar-e-daman o tar-e-nazar mein farq mushkil hai
rafu-e-zaKHm se matlab hai lazzat zaKHm-e-sozan ki
samajhiyo mat ki pas-e-dard se diwana ghafil hai
wo gul jis gulsitan mein jalwa-farmai kare 'ghaalib'
chaTakna ghuncha-e-gul ka sada-e-KHanda-e-dil hai
hua hai mane-e-ashiq-nawazi naz-e-KHud-bini
takalluf-bar-taraf aaina-e-tamiz hael hai
ba-sail-e-ashk laKHt-e-dil hai daman-gir mizhgan ka
ghariq-e-bahr juya-e-KHas-o-KHashak-e-sahil hai
baha hai yan tak ashkon mein ghubar-e-kulfat-e-KHatir
ki chashm-e-tar mein har ek para-e-dil pa-e-dar-gil hai
nikalti hai tapish mein bismilon ki barq ki shoKHi
gharaz ab tak KHayal-e-garmi-e-raftar qatil hai
(1174) Peoples Rate This