Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha
hui taKHir to kuchh bais-e-taKHir bhi tha
aap aate the magar koi inan-gir bhi tha
tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
us mein kuchh shaiba-e-KHubi-e-taqdir bhi tha
tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun
kabhi fitrak mein tere koi naKHchir bhi tha
qaid mein hai tere wahshi ko wahi zulf ki yaad
han kuchh ek ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha
bijli ek kaund gai aankhon ke aage to kya
baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi tha
yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe KHair hui
gar bigaD baiThe to main laiq-e-tazir bhi tha
dekh kar ghair ko ho kyun na kaleja ThanDa
nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha
peshe mein aib nahin rakhiye na farhad ko nam
hum hi aashufta-saron mein wo jawan-mir bhi tha
hum the marne ko khaDe pas na aaya na sahi
aaKHir us shoKH ke tarkash mein koi tir bhi tha
pakDe jate hain farishton ke likhe par na-haq
aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
(3326) Peoples Rate This