Ho Gai Hai Ghair Ki Shirin-bayani Kargar
ho gai hai ghair ki shirin-bayani kargar
ishq ka us ko guman hum be-zabanon par nahin
zabt se matlab bajuz warastagi digar nahin
daman-e-timsal aab-e-aina se tar nahin
bais-e-iza hai barham-KHurdan-e-bazm-e-surur
laKHt laKHt-e-shisha-e-ba-shkasta juz nishtar nahin
dil ko izhaar-e-suKHan andaz-e-fath-ul-bab hai
yan sarir-e-KHama ghair-az-istikak-e-dar nahin
(1615) Peoples Rate This