Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle
hazaron KHwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
Dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par
wo KHun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalna KHuld se aadam ka sunte aae hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle
bharam khul jae zalim tere qamat ki daraazi ka
agar is turra-e-pur-pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle
magar likhwae koi us ko KHat to hum se likhwae
hui subh aur ghar se kan par rakh kar qalam nikle
hui is daur mein mansub mujh se baada-ashami
phir aaya wo zamana jo jahan mein jam-e-jam nikle
hui jin se tawaqqo KHastagi ki dad pane ki
wo hum se bhi ziyaada KHasta-e-tegh-e-sitam nikle
mohabbat mein nahin hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
kahan mai-KHane ka darwaza 'ghaalib' aur kahan waiz
par itna jaante hain kal wo jata tha ki hum nikle
(4940) Peoples Rate This