Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya
hawas ko hai nashat-e-kar kya kya
na ho marna to jine ka maza kya
tajahul-peshgi se muddaa kya
kahan tak ai sarapa naz kya kya
nawazish-ha-e-beja dekhta hun
shikayat-ha-e-rangin ka gila kya
nigah-e-be-mahaba chahta hun
taghaful-ha-e-tamkin-azma kya
farogh-e-shola-e-KHas yak-nafas hai
hawas ko pas-e-namus-e-wafa kya
nafas mauj-e-muhit-e-be-KHudi hai
taghaful-ha-e-saqi ka gila kya
dimagh-e-itr-e-pairahan nahin hai
gham-e-awargi-ha-e-saba kya
dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahar
hum us ke hain hamara puchhna kya
muhaba kya hai main zamin idhar dekh
shahidan-e-nigah ka KHun-baha kya
sun ai ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun
shikast-e-qimat-e-dil ki sada kya
kiya kis ne jigar-dari ka dawa
shakeb-e-KHatir-e-ashiq bhala kya
ye qatil wada-e-sabr-azma kyun
ye kafir fitna-e-taqat-ruba kya
bala-e-jaan hai 'ghaalib' us ki har baat
ibarat kya ishaarat kya ada kya
(1832) Peoples Rate This