Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami
hasil se hath dho baiTh ai aarzu-KHirami
dil josh-e-girya mein hai Dubi hui asami
us shama ki tarah se jis ko koi bujha de
main bhi jale-huon mein hun dagh-e-na-tamami
karte ho shikwa kis ka tum aur bewafai
sar piTte hain apna hum aur nek-nami
sad-rang-e-gul katarna dar-parda qatl karna
tegh-e-ada nahin hai paband-e-be-niyami
tarf-e-suKHan nahin hai mujh se KHuda-na-karda
hai nama-bar ko us se dawa-e-ham-kalami
taqat fasana-e-baad andesha shoala-ijad
ai gham hunuz aatish ai dil hunuz KHami
har chand umr guzri aazurdagi mein lekin
hai sharh-e-shauq ko bhi jun shikwa na-tamami
hai yas mein 'asad' ko saqi se bhi faraghat
dariya se KHushk guzre maston ki tishna-kaami
(1258) Peoples Rate This