Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho
hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho
ki chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se wa ho
ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maasi bhi
bharun yak-gosha-e-daman gar aab-e-haft-dariya ho
agar wo sarw-qad garm-e-KHiram-e-naz aa jawe
kaf-e-har-KHak-e-gulshan shakl-e-qamri nala-farsa ho
baham baalidan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chahe hai
ki tar-e-jada bhi kohsar ko zunnar-e-mina ho
harif-e-wahshat-e-naz-e-nasim-e-ishq jab aaun
ki misl-e-ghuncha saz-e-yak-gulistan dil muhayya ho
bajae dana KHirman yak-bayaban baiza-e-qumri
mera hasil wo nusKHa hai ki jis se KHak paida ho
kare kya saz-e-binish wo shahid-e-dard-agahi
jise mu-e-dimagh-e-be-KHudi KHwab-e-zuleKHa ho
dil-e-jun-shama bahr-e-dawat-e-nazzara layani
nigah labrez-e-ashk o sina mamur-e-tamanna ho
na dekhen ru-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kafuri
KHudaya is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamasha ho
(1557) Peoples Rate This