Harif-e-matlab-e-mushkil Nahin Fusun-e-niyaz
harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz
dua qubul ho ya rab ki umr-e-KHizr daraaz!
na ho ba-harzah bayaban-naward-e-wahm-e-wajud
hanuz tere tasawwur mein hai nasheb-o-faraaz
visal jalwa tamasha hai par dimagh kahan
ki dije aaina-e-intizar ko pardaz
har ek zarra-e-ashiq hai aaftab-parast
gai na KHak hue par hawa-e-jalwa-e-naz
na puchh wusat-e-mai-KHana-e-junun 'ghaalib'
jahan ye kasa-e-gardun hai ek KHak-andaz
fareb-e-sanat-e-ijad ka tamasha dekh
nigah aks-farosh o KHayal aaina-saz
zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-ara hai
uDi hai safha-e-KHatir se surat-e-parwaz
hujum-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
ki shisha nazuk o sahba-e-abgina-gudaz
'asad' se tark-e-wafa ka guman wo mani hai
ki khinchiye par-e-tair se surat-e-parwaz
hanuz ai asar-e-did nang-e-ruswai
nigah fitna-KHiram o dar-e-do-alam baz
(1567) Peoples Rate This